01/05/2026
Sheher jagne se pehle… woh kaam par hotay hain.
Haath sakht… j**m thaka hua… lekin umeedein zinda.
Na woh taaliyon ka intezar karte hain,
na tareef ki umeed rakhte hain…
bas roz uth kar apna farz nibha dete hain.
Garmi, dhool aur lambi mehnat ke baad bhi…
woh sirf bojh nahi uthate,
apne gharon ke sapne uthate hain.
Pakistan unke baghair nahi chal sakta…
Pakistan unki wajah se khara hai.
Is Labor Day par… zara ruk kar un logon ko yaad karo
jo khamoshi se sab kuch bana rahe hain.
Aaj unka din hai 💚